Standing up for Salah

Shortened Question:

When is the correct time to stand up for salah?

Question:

Q: namaz me iqamat se pehle khara hua jaye ya iqamat k doraan khara hua jaye.???? ANS: NAMAZ BA-JAMAAT KE LIYE KIS WAQT KHADE HO?

HADEES: H.Abu Qatadah r.a bayan karte hain ki Rasoolullah alaihesalam ne farmaya,

Jab Namaz ki aqamat ho to us waqt tak na khade ho, jab tak mujhe na dekh lo.

(Muslim, Kitab Mawazeus Salaat, H.no.1324-1325), (Bukhari, H.no.637-638-909), (Abu Dawood, H.no.539-540), (Tirmizi, H.no.592), (Nisai, H.no.686-789)

Muslim Sharif me Is Hadees ki Sharah ke tehet Imam Nawawi ne Qazi Ayaz Maliki ka qaul naqal kiya aur farmaya ki jab Moazzin Aqamat par pahuche, us waqt khade ho,

H.Unais ka qaul hai ki jab Moazzin ‘Qadqa matis sallah’ par pahuche tab khade ho,

H.Imam Abu Hanifa ka qaul hai: Jab moazzin ‘Hayya Alas Salaah’ par pahuche is waqt khade ho.

Tamam Fuqaha-e-Kiram ke aqwaal per ghaur karte hue Ulama-e-Kiram farmate hain ki jab moazzin ‘Hayya Alas Salaah’ kahe is waqt itminan se khade ho aur tab tak Moazzin ‘Qadqa matis Salaah’ tak padh lega.

(Sharah Muslim, By: Imam Nawawi)

Aaj sare Wahabi Deobandiyo ki Masjid me Takbeer ke shuru ‘Allahu Akbar Allahu Akbar’ se hi uthkar khade ho jate hain,

jabki Nabi alaihesalam ne khud hi Takbeer ke shuru me khade hone se mana farmaya aur kaha ki ‘Jab Takbeer ho to us waqt tak na khade ho, jab tak mujhe na dekh lo’ To Pata chala ki Takbeer ke shuru me hi Jamaat ke liye khade ho jana Sunnat nahi hai. Aye Wahabiyo, tum koi bhi aisi Dalil laakar do, Jo Muslim ki Hadees se zyada qawi ho aur jisme likha ho ki Shuru Allahu Akbar se hi Khade ho jana chaahiye, please answer with sahi hadith.. Jazak allah ho khaira

Answer:

In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.

As-salāmu ‘alaykum wa-rahmatullāhi wa-barakātuh.

Muhtaram Bhai,

Aap kae sawaal kae jawaab dae nae mae hamae kuch haraj nahee. Albatta pehlae in sawaaloe kae jawaabat dijiyae:

  1. Yae bataawoe kae aap kya aalim hae yaa nahee?
  2. aap nae sarf, nahw, balaaghat aur mantiq kee kitabae parhee hae yaa nahee? Agar parhee hae toe koen koen see?
  3. Aap fiqh mae barae maahir lagtae hoe. Aap nae Fiqh aur Usool Fiqh kee kin kitaaboe kaa muta`la`aa kiyaaha hae?
  4. Aap nae kin ahaadeeth kee kitaboe kaa mutala`aa kiya hae? Kyaa aap poorae zakheera`e ahadeeth sae waaqif hoe? Hadith kee kitnee qismae hae? Kyaa aap bazaatae khud saheeh aur ghayr saheen ahadith mei tameez kar saktae hoe? aap kee kyaa ma`loomaat hae hadeeth kae fun mae. Aap nae koen koen see kitaaboe kaa mutaala`aa kiyaa hae.
  5. Baraaye karam aap waadhih kijiyae kae aap kya kehna chahtae hoe. Kya aap kaa maslak bamutaabiqe sahih muslim kee sahih hadith hae ya`ni “Jab Takbeer ho to us waqt tak na khade ho, jab tak mujhe na dekh lo’” yaa yae kae musallee koe “Hayya Alas Salaah” par karaa honaa chahyae joe “Tamam Fuqaha-e-Kiram ke aqwaal per ghaur karte hue Ulama-e-Kiram farmate hain”. Aap kaa amal hadeeth kae mutaabiq hae yaa fuqaha kae aqwaal kae mutabiq? Doenoe mae bazahir tafaawut hae. Please answer with clarity. Bayyinoo faltoojaroo[1].

 

And Allah Ta’āla Knows Best

Hanif Yusuf Patel

Student Darul Iftaa
UK

Checked and Approved by,
Mufti Ebrahim Desai.

www.daruliftaa.net

 

References

[1] See [Fatāwa Rahimiyyah, 4: 104-7, Dar al-Ishā`at Karachi]

DISCLAIMER:
The Ask Our Imam site hopes to respond to queries relating to Islamic law. It is not an Islamic Law Shari`ah Court. The questions and answers found on this website are for educational purposes. However, many of the rulings rendered here are distinct to the specific scenario and thus should be read in conjunction with the question and not taken as a basis to establish a verdict in another situation or environment. This site bears no responsibility in these responses being used out of their intended context, nor to any party who may or may not follow the responses given and is being hereby exempted from loss or damage howsoever caused. None of the responses rendered may be used as evidence in any Court of Law without prior written consent of Our Imam. Any reference to another website or link provided in our responses or article should not be taken as an endorsement of all the content on that website; in fact, it is restricted to the particular material being cited.

Posted in Salaah (Prayer) on 19th Mar 2016 by Our Imam | 1002 Views